Jagjit Singh::Dekhna Jazb-e-Mohabbat Ka Asar
An intoxicating ghazal from the album Kahkashan
Album: Kahkashan
Ghazal: Dekhna Jazb-e-Muhabbat Ka Asar
Year: 1992
Singer: Jagjit Singh
Lyrics: Majaz Lucknawi
dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat
nur hee nur hai kis simt uthaoon aankhe
husn hee husn hai taahat-e-nazar aaj ki raat
nagma-o-mai ka ye toofan-e-tarab kya kehna
mera ghar ban gaya khayyam ka ghar aaj ki raat
nargis-e-naaz mein wo neend ka halka sa khumaar
wo mere naghma-e-sheri ka asar aaj ki raat
