Hay nazar may jamaal-e-habeeb e khuda,
un ki tasveer seenay may mowjood hay,
jis nay laakar kaleem-e-ilaahi diya,
wo muhammad madinay may mowjood hay
Phool Kilthay hay Par par kay sallay 'alaa,
joom-e-kar kehrahee hay yay baad-e-sabaa,
aysi khushboo chaman kay gulon may kahaan,
jo nabi kay paseenay may mowjood hay
Chawr-e-Naa tayra taibah gabaara nahee,
saari dunya may aysa nazaara nahee,
aysa manzar zamaan-e-may daykha koee,
jaysa manzar madinay may mowjood hay
Ham nay maana kay jannat bohot hay haseen,
chawr kar ham madina na jaa'ain kahee,
yoon tho jannat may sab hay madina nahee,
aur jannat madinay may mowjood hay
Wo Abu Bakr o Farook Usmaan Ali,
Hay yay sab un kay deen-e-mubeen kay faqeer,
wo faqeero kay afsar shah-e-ambiyaa,
Wo shahenshah Madeenay may mowjood hay
Tags: Al Haaj Shabaz Shahbaz Qamar Fareedi Qadri Owais Awais Raza islam quran qari recitation naat nasheed Minhaj Ul Qur'an