Asha Bhonsle sang this Hemanta Mukherjee composition, written by Kavi Pradeep - in a tribute to the Mahatma.
Song: Sabarmati Ke Sant Tu Ne Kar Diya Kamal
Movie: Jagriti
Year: 1954
Singer: Asha Bhonsle
Music: Hemanta Mukherjee
Lyrics: Pradeep
de di hame azadi bina kadg bina dhal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
andhi me bi jalti rahi gandhi teri mashal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
dharti pe ladi tune ajab dhab ki ladai
dagi na kahin topna banduk chalai
dushman ke kile par bi na ki tune chadhai
vahare pakir kub karamaat dikai
chutki me dusmanon ko diya desh se nikal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
sataranj bicha kar yahan baitha tha zamana
lagta tha ki mushkil hai pirangi ko harana
takkar dhi bade zor ki dushman bi tha dana
par tu bi tha bapu bada ustad purana
mara vo kaske dhav ki ulti sabi ki chal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
jab jab tera bigul baja javan chal pade
majdur chal pade the aur kisan chal pade
hindu ya musalman sikh pathan chal pade
kadamon pe tere koti koti pran chal pade
pulon ki sej chod ke daude jawaharalal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
man me thi ahimsa ki lagan tan pe langoti
lakon me gumta tha liye satya ki somti
vaise to dekne me thi hasti teri choti
lekin tuje jukti thi himalay ki bi choti
duniya me tu bejod tha insaan bemisal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
jag me koi jiya hai to bapu tu hi jiya
tune vatan ki rah me sab kuch luta diya
manga na koi takt na to taj hi liya
amrit diya sabi ko magar kud zahar piya
jis din teri chita jali roya tha mahakal
sabaramati ke sant tune kar diya kamal
Tags: Mahatma Ganshi Asha Bhonsle Hemanta Mukherjee Pradeep Sabarmati Ke Sant Tu Ne Kar Diya Kamal Jagriti Hindi world music